Thursday, March 10, 2011

Autobiography of a Moron

un dino, kuch maksad hua karte the humare....
Ab gehre khwab hain,
Jazbe ki kami toh chicken-roll ne puri kar di..
Aaj kal, malai kabab hain
Jo beet gaya, woh aane waale se aasan kyu hota hai?
mere bhi, kuch ulte, kuch kache..
khud se kiye sawal-o-jawab hain.
yaar aise mile,jinhe mujh par mujh se jyada yakin raha.
bandiyan, botlein,awarapan -
un kamino ke saath toh khalipan bhi rangeen raha.
Sab bhains ki aankh,
james bond ki chathi(6) aulad,
sab LA ke nawab hain.
Waise,.. dekha jaye toh itne kuch galat bhi na hue the kabhi..
do chaar night-outs,
kabhi-kabhaar hangovers,
do suplies,
thode se baap ke paise
aur char saal hi toh lage,
tab jaakar ye samajh aaya...
ye sab bhi toh lajawab hain.
Aur phir aaj itna kuch badla bhi kya hai?
ek degree hai,
kuch sapne hain,
thodi confusion hai,
tension seldom hai..
zindagi random hai...
phir bhi(maa ka)
apan toh phantom hain.
aur doston..
kuch saal baad, aisa hi kuch pado yahaan par
toh samajh jana ki...
life rapchik chal hai bhai ki...

4 comments:

Sanket said...

badhiya hi hai :P

Unknown said...

mast hai bhai

Avinash said...

fandu hai launde... B-)

Shrawan said...

decorated ! n jealous of u as a writer dude !! :O :*